rulaega aansu bahana hamara
rulā.egā aañsū bahānā hamārā
hañsī tum na samjho rulānā hamārā
satī sham.a parvāne ke saath hogī
jalā.egā us ko jalānā hamārā
ye phoḌā jo phūTā to achchhā na hogā
samajh buujh kar dil dukhānā hamārā
bas ab zindagī beḌiyoñ meñ kaTegī
na utregā paañv se baanā hamārā
lipaTte haiñ pariyoñ se saa.e kī sūrat
junūñ bhī hai kyā āqilāna hamārā
agar raaz ifshā ho apne junūñ kā
qadam chūme bahlol-e-dānā hamārā
barahman shivāle meñ masjid meñ vaa.iz
jahāñ meñ nahīñ ab Thikānā hamārā
rasā.ī dar-e-yār tak mudda.ā hai
gadā.ī bhī hai ik bahānā hamārā
kahāñ chhoḌ kar jā.iye un guloñ ko
ye sho.ale haiñ aur āshiyānā hamārā
nasīboñ meñ likkhā hai vo ḳhāl-bīnī
tapanche kā chharrā hai daanā hamārā
na ā.eñge ham ḳhāna-ābād sāhab
agar nāgavārā hai aanā hamārā
tumhāre tajassus meñ aise hue gum
hameñ bhī na sūjhā Thikānā hamārā
mohabbat ke kānoñ se ai 'bahr' suniye
har ek sher hai āshiqāna hamārā
rulaega aansu bahana hamara
hansi tum na samjho rulana hamara
sati shama parwane ke sath hogi
jalaega us ko jalana hamara
ye phoDa jo phuTa to achchha na hoga
samajh bujh kar dil dukhana hamara
bas ab zindagi beDiyon mein kaTegi
na utrega panw se bana hamara
lipaTte hain pariyon se sae ki surat
junun bhi hai kya aaqilana hamara
agar raaz ifsha ho apne junun ka
qadam chume bahlol-e-dana hamara
barahman shiwale mein masjid mein waiz
jahan mein nahin ab Thikana hamara
rasai dar-e-yar tak muddaa hai
gadai bhi hai ek bahana hamara
kahan chhoD kar jaiye un gulon ko
ye shoale hain aur aashiyana hamara
nasibon mein likkha hai wo KHal-bini
tapanche ka chharra hai dana hamara
na aaenge hum KHana-abaad sahab
agar nagawara hai aana hamara
tumhaare tajassus mein aise hue gum
hamein bhi na sujha Thikana hamara
mohabbat ke kanon se ai 'bahr' suniye
har ek sher hai aashiqana hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.