rulaen abr ko gulshan ko be-bahaar karen
rulā.eñ abr ko gulshan ko be-bahār kareñ
tirī udāsiyāñ aalam ko sogvār kareñ
dikhā.eñ aa.ina us ko jo aañkh se mahrūm
ab aa.ine ke tasavvur ko sharmsār kareñ
jo sāmne haiñ unheñ to maiñ dekh saktā huuñ
magar vo log jo pīchhe se mujh pe vaar kareñ
kisī chaTān se lipTeñ harārateñ māñgeñ
talab kī zarb se paidā na.e sharār kareñ
likheñ lahū se falak ke basīt kāġhaz par
anokhe Dhang se hamd-o-sanā-e-yār kareñ
rulaen abr ko gulshan ko be-bahaar karen
teri udasiyan aalam ko sogwar karen
dikhaen aaina us ko jo aankh se mahrum
ab aaine ke tasawwur ko sharmsar karen
jo samne hain unhen to main dekh sakta hun
magar wo log jo pichhe se mujh pe war karen
kisi chaTan se lipTen hararaten mangen
talab ki zarb se paida nae sharar karen
likhen lahu se falak ke basit kaghaz par
anokhe Dhang se hamd-o-sana-e-yar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.