rumuz-e-ishq ka mujrim nahin hai
rumūz-e-ishq kā mujrim nahīñ hai
jo dil sarshār-e-kaif-e-ġham nahīñ hai
javāb-e-pursish-e-ġham meñ adab se
ye kah detā huuñ koī ġham nahīñ hai
qayāmat thā nigāhoñ kā tasādum
abhī tak dil kī dhaḌkan kam nahīñ hai
hazāroñ karvaTeñ badle zamāna
tire rindoñ ko saaqī ġham nahīñ hai
kise 'āshufta' hāl-e-dil sunā.eñ
koī monis koī hamdam nahīñ hai
rumuz-e-ishq ka mujrim nahin hai
jo dil sarshaar-e-kaif-e-gham nahin hai
jawab-e-pursish-e-gham mein adab se
ye kah deta hun koi gham nahin hai
qayamat tha nigahon ka tasadum
abhi tak dil ki dhaDkan kam nahin hai
hazaron karwaTen badle zamana
tere rindon ko saqi gham nahin hai
kise 'ashufta' haal-e-dil sunaen
koi monis koi hamdam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.