Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruswa-e-ishq mein tera shaida kahen jise

Sahir Dehlavi

ruswa-e-ishq mein tera shaida kahen jise

Sahir Dehlavi

MORE BYSahir Dehlavi

    rusvā-e-ishq meñ tirā shaidā kaheñ jise

    ushshāq meñ misāl hai rusvā kaheñ jise

    siina chaman hai ġhuncha-e-dil hai shagufta-dil

    terī nigāh hai chaman-ārā kaheñ jise

    ġham parvarīda hai dil-e-shorīdgān-e-ishq

    furqat ek raat hai duniyā kaheñ jise

    mansūb kufr dair se īmāñ haram se hai

    ik rah gayā huuñ maiñ ki tumhārā kaheñ jise

    ham ġhair-mo'tabar sahī aur ġhair mo'atabar

    kahnā bajā hai aap jaisā kaheñ jise

    'sāhir' nafas vo daam hai jis meñ ki hai asiir

    mauj-e-dam-e-ḳhayāl ki anqā kaheñ jise

    ruswa-e-ishq mein tera shaida kahen jise

    ushshaq mein misal hai ruswa kahen jise

    sina chaman hai ghuncha-e-dil hai shagufta-dil

    teri nigah hai chaman-ara kahen jise

    gham parwarida hai dil-e-shoridgan-e-ishq

    furqat ki ek raat hai duniya kahen jise

    mansub kufr dair se iman haram se hai

    ek rah gaya hun main ki tumhaara kahen jise

    hum ghair-mo'tabar sahi aur ghair mo'atabar

    kahna baja hai aap ka jaisa kahen jise

    'sahir' nafas wo dam hai jis mein ki hai asir

    mauj-e-dam-e-KHayal ki anqa kahen jise

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-310 E-326)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now