ruswa ho jo duniya mein wo mai-KHwar hamin hain
rusvā ho jo duniyā meñ vo mai-ḳhvār hamīñ haiñ
sab ābid-o-zāhid haiñ gunahgār hamīñ haiñ
ab ḳhūbī-e-qismat na kaheñ is ko kaheñ kyā
taqsīr kisī kī ho ḳhatāvār hamīñ haiñ
laġhzish pe hamārī kabhī tanqīd na karnā
ai be-ḳhabaro sāhib-e-kirdār hamīñ haiñ
un kī nigah-e-nāz pe koī nahīñ ilzām
sach ye hai mohabbat ke ḳhatā-kār hamīñ haiñ
ik phuul bhī dāman ko mayassar nahīñ aatā
maanā ki har ik phuul ke haqdār hamīñ haiñ
nā-qadrī-e-arbāb-e-hunar dekh ke 'shā.ir'
jo fan se pashemāñ ho vo fan-kār hamīñ haiñ
ruswa ho jo duniya mein wo mai-KHwar hamin hain
sab aabid-o-zahid hain gunahgar hamin hain
ab KHubi-e-qismat na kahen is ko kahen kya
taqsir kisi ki ho KHatawar hamin hain
laghzish pe hamari kabhi tanqid na karna
ai be-KHabaro sahib-e-kirdar hamin hain
un ki nigah-e-naz pe koi nahin ilzam
sach ye hai mohabbat ke KHata-kar hamin hain
ek phul bhi daman ko mayassar nahin aata
mana ki har ek phul ke haqdar hamin hain
na-qadri-e-arbab-e-hunar dekh ke 'shair'
jo fan se pasheman ho wo fan-kar hamin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.