ruswaiyon ka meri tamasha na kijiye
rusvā.iyoñ kā merī tamāsha na kījiye
lillāh apne aap ko rusvā na kījiye
har zulm par vafā kā taqāza na kījiye
mahñgā paḌegā aap pe saudā na kījiye
hañsiye na aap yuuñ mire hāl-e-tabāh par
tārīk zindagī meñ ujālā na kījiye
kāñToñ se rasm-o-rāh kā gar hausla na ho
phūloñ kī apne dil meñ tamannā na kījiye
kuchh mushkilāt-e-rāh-e-vafā kī ḳhabar bhī hai
chalne kā mere saath irāda na kījiye
merī nigāh-e-shauq kā jaadū bhī kam nahīñ
āñkhoñ meñ āñkheñ Daal ke dekhā na kījiye
vāraftagī-e-shauq meñ 'anvar' ke sāmne
jab aa ga.e haiñ aap to parda na kījiye
ruswaiyon ka meri tamasha na kijiye
lillah apne aap ko ruswa na kijiye
har zulm par wafa ka taqaza na kijiye
mahnga paDega aap pe sauda na kijiye
hansiye na aap yun mere haal-e-tabah par
tarik zindagi mein ujala na kijiye
kanTon se rasm-o-rah ka gar hausla na ho
phulon ki apne dil mein tamanna na kijiye
kuchh mushkilat-e-rah-e-wafa ki KHabar bhi hai
chalne ka mere sath irada na kijiye
meri nigah-e-shauq ka jadu bhi kam nahin
aankhon mein aankhen Dal ke dekha na kijiye
waraftagi-e-shauq mein 'anwar' ke samne
jab aa gae hain aap to parda na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.