rut badalti hai badalta nahin manzar sain
rut badaltī hai badaltā nahīñ manzar sā.īñ
ab kahāñ jaa.e batā terā qalandar sā.īñ
ik mire naam nahīñ terī saḳhāvat varna
jagmagātā hai karishma tirā dar dar sā.īñ
shahr kā shahr huā jaatā hai kaise sairāb
kaun aayā hai yahāñ le ke samundar sā.īñ
ab to mahsūs ye hotā hai ki manzil hai qarīb
rāsta aisā nahīñ hotā munavvar sā.īñ
koī kuchh bhī na kahe shahar-e-adāvat hī sahī
ham to ābād hue haiñ yahāñ luT kar sā.īñ
shā'irī jis ke liye kī vo sirā hai to hai baat
laakh duniyā mujhe kahtī hai suḳhanvar sā.īñ
phir kisī roz tamannā ke qadam chūmūñgā
aaj to jaane diyā jaa.e mujhe ghar sā.īñ
karbalā hai to yahāñ sar kī bhī qīmat hogī
kuchh to in'ām rahegā mire sar par sā.īñ
rut badalti hai badalta nahin manzar sain
ab kahan jae bata tera qalandar sain
ek mere nam nahin teri saKHawat warna
jagmagata hai karishma tera dar dar sain
shahr ka shahr hua jata hai kaise sairab
kaun aaya hai yahan le ke samundar sain
ab to mahsus ye hota hai ki manzil hai qarib
rasta aisa nahin hota munawwar sain
koi kuchh bhi na kahe shahar-e-adawat hi sahi
hum to aabaad hue hain yahan luT kar sain
sha'iri jis ke liye ki wo sira hai to hai baat
lakh duniya mujhe kahti hai suKHanwar sain
phir kisi roz tamanna ke qadam chumunga
aaj to jaane diya jae mujhe ghar sain
karbala hai to yahan sar ki bhi qimat hogi
kuchh to in'am rahega mere sar par sain
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 31)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.