rut hai aisi zahr-yabi zindagi KHatre mein hai
rut hai aisi zahr-yabi zindagi KHatre mein hai
Saiyad Shadab Asghar
MORE BYSaiyad Shadab Asghar
rut hai aisī zahr-yābī zindagī ḳhatre meñ hai
mājrā ye pesh hai har aadmī ḳhatre meñ hai
ham agar sañbhle nahīñ to ek din miT jā.eñge
chhoḌ do ye bad-gumānī har koī ḳhatre meñ hai
un kī galiyoñ meñ bhaTakte the kabhī ham dar-ba-dar
zulm ye kaisā huā āvārgī ḳhatre meñ hai
'ishq karnā thī ḳhatā to ye ḳhatā ham ne karī
hai sazā itnī baḌī ab saañs bhī ḳhatre meñ hai
maiñ ne ik kuTiyā banā.ī aur ye tūfāñ aa gayā
bad-nasībī kā hai 'ālam chhat mirī ḳhatre meñ hai
us kī ḳhātir mom-battī jo jalā.ī bujh ga.ī
dil gavāhī de rahā hai vo kisī ḳhatre meñ hai
rut hai aisi zahr-yabi zindagi KHatre mein hai
majra ye pesh hai har aadmi KHatre mein hai
hum agar sanbhle nahin to ek din miT jaenge
chhoD do ye bad-gumani har koi KHatre mein hai
un ki galiyon mein bhaTakte the kabhi hum dar-ba-dar
zulm ye kaisa hua aawargi KHatre mein hai
'ishq karna thi KHata to ye KHata hum ne kari
hai saza itni baDi ab sans bhi KHatre mein hai
main ne ek kuTiya banai aur ye tufan aa gaya
bad-nasibi ka hai 'alam chhat meri KHatre mein hai
us ki KHatir mom-batti jo jalai bujh gai
dil gawahi de raha hai wo kisi KHatre mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.