rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai
rut na badle to bhī afsurda shajar lagtā hai
aur mausam ke taġhayyur se bhī Dar lagtā hai
dard-e-hijrat ke satā.e hue logoñ ko kahīñ
sāya-e-dar bhī nazar aa.e to ghar lagtā hai
ek sāhil hī thā girdāb-shanāsā pahle
ab to har dil ke safīne meñ bhañvar lagtā hai
bazm-e-shāhī meñ vahī log sar-afrāz hue
jin ke kāñdhoñ pe hameñ mom kā sar lagtā hai
khā liyā hai to use dost ugalte kyuuñ ho
aise peḌoñ pe to aisā hī samar lagtā hai
ajnabiyyat kā vo aalam hai ki har aan yahāñ
apnā ghar bhī hameñ aġhyār kā ghar lagtā hai
shab kī sāzish ne ujāloñ kā galā ghūñT diyā
zulmat-ābād sā ab nūr-e-sahar lagtā hai
manzil-e-saḳht se ham yuuñ to nikal aa.e haiñ
aur jo baaqī hai qayāmat kā safar lagtā hai
ghar bhī vīrāna lage taaza havāoñ ke baġhair
bād-e-ḳhush-rañg chale dasht bhī ghar lagtā hai
rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai
aur mausam ke taghayyur se bhi Dar lagta hai
dard-e-hijrat ke satae hue logon ko kahin
saya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagta hai
ek sahil hi tha girdab-shanasa pahle
ab to har dil ke safine mein bhanwar lagta hai
bazm-e-shahi mein wahi log sar-afraaz hue
jin ke kandhon pe hamein mom ka sar lagta hai
kha liya hai to use dost ugalte kyun ho
aise peDon pe to aisa hi samar lagta hai
ajnabiyyat ka wo aalam hai ki har aan yahan
apna ghar bhi hamein aghyar ka ghar lagta hai
shab ki sazish ne ujalon ka gala ghunT diya
zulmat-abaad sa ab nur-e-sahar lagta hai
manzil-e-saKHt se hum yun to nikal aae hain
aur jo baqi hai qayamat ka safar lagta hai
ghar bhi virana lage taza hawaon ke baghair
baad-e-KHush-rang chale dasht bhi ghar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.