rutba-e-taKHt se mahrum hai mansab mera
rutba-e-taḳht se mahrūm hai mansab merā
sāhab-e-fahm samajhte nahīñ matlab merā
hai mire sher se ahvāl-e-zamāna zāhir
paḌh lo tum bhī ki ye shīsha hai mahaddab merā
merī bastī ko ujāle meñ dikhā kar mujh ko
qatl kartā hai koī ḳhvāb meñ har shab merā
tarjumāñ haiñ mire māhaul kī ġhazleñ merī
ye alag baat ki lahja hai mohazzab merā
shahr-e-qāzī tire fatvoñ se ġharaz kyā mujh ko
rab mirā dil mirā marzī mirī maz.hab merā
khushbū-e-sher se mahzūz huā kar 'rāhat'
ġham ke bīmār ye nusḳha hai mujarrab merā
rutba-e-taKHt se mahrum hai mansab mera
sahab-e-fahm samajhte nahin matlab mera
hai mere sher se ahwal-e-zamana zahir
paDh lo tum bhi ki ye shisha hai mahaddab mera
meri basti ko ujale mein dikha kar mujh ko
qatl karta hai koi KHwab mein har shab mera
tarjuman hain mere mahaul ki ghazlen meri
ye alag baat ki lahja hai mohazzab mera
shahr-e-qazi tere fatwon se gharaz kya mujh ko
rab mera dil mera marzi meri mazhab mera
khushbu-e-sher se mahzuz hua kar 'rahat'
gham ke bimar ye nusKHa hai mujarrab mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.