ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai
rutoñ ke rañg badalte hue bhī banjar hai
vo ek ḳhaas 'ilāqa jo dil ke andar hai
ghaḌī ghaḌī mirī āñkhoñ meñ uḌ rahī hai dhuul
sadī sadī kā mirī raah meñ samundar hai
bujhā bujhā huā rahtā huuñ apne ḳhvāboñ meñ
dhuāñ dhuāñ sā mire jāgne kā manzar hai
'ajīb ḳhvāb sā dekhā ki puure dariyā meñ
koī jahāz kahīñ hai na koī lañgar hai
badan pe TuuT bikharne ko hai kahīñ na kahīñ
hirās-o-ḳhauf kā saaya jo mere sar par hai
maiñ kis kī khoj meñ yuuñ hī bitā rahā huuñ janm
chhupā huā mire saa.e meñ kis kā paikar hai
sunā rahī hai havā apne hī safar-nāme
'ajīb shor ghane jañgaloñ ke andar hai
ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai
wo ek KHas 'ilaqa jo dil ke andar hai
ghaDi ghaDi meri aankhon mein uD rahi hai dhul
sadi sadi ka meri rah mein samundar hai
bujha bujha hua rahta hun apne KHwabon mein
dhuan dhuan sa mere jagne ka manzar hai
'ajib KHwab sa dekha ki pure dariya mein
koi jahaz kahin hai na koi langar hai
badan pe TuT bikharne ko hai kahin na kahin
hiras-o-KHauf ka saya jo mere sar par hai
main kis ki khoj mein yun hi bita raha hun janm
chhupa hua mere sae mein kis ka paikar hai
suna rahi hai hawa apne hi safar-name
'ajib shor ghane jangalon ke andar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.