Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir

Yaqoob Tasawwur

ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir

Yaqoob Tasawwur

MORE BYYaqoob Tasawwur

    rū-ba-rū but ke duā bhuul ho jaa.e to phir

    aur phir vo duā maqbūl ho jaa.e to phir

    maiñ baḌhā.ūñ haath jis kāñTe jānib shauq se

    haath meñ aa kar vo kāñTā phuul ho jaa.e to phir

    bādbānoñ par havā ho mehrbāñ aur daf.atan

    TukḌe TukḌe naav mastūl ho jaa.e to phir

    nafrateñ be-zāriyāñ buġhz-o-ta.assub dushmanī

    zindagī bas yahī ma.amūl ho jaa.e to phir

    qātiloñ ko kar diyā jaa.e barī ilzām se

    vājib-e-ta.azīr ḳhud maqtūl ho jaa.e to phir

    lamha lamha manzileñ hotī chalī jaa.eñ ba.iid

    aur qismat rāste dhuul ho jaa.e to phir

    hāl-e-dil apnā bayāñ karne ḳhvāhish hai magar

    kuchh tavajjoh aap mabzūl ho jaa.e to phir

    ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir

    aur phir wo hi dua maqbul ho jae to phir

    main baDhaun hath jis kanTe ki jaanib shauq se

    hath mein aa kar wo kanTa phul ho jae to phir

    baadbanon par hawa ho mehrban aur dafatan

    TukDe TukDe naw ka mastul ho jae to phir

    nafraten be-zariyan bughz-o-tassub dushmani

    zindagi ka bas yahi mamul ho jae to phir

    qatilon ko kar diya jae bari ilzam se

    wajib-e-tazir KHud maqtul ho jae to phir

    lamha lamha manzilen hoti chali jaen baid

    aur qismat raste ki dhul ho jae to phir

    haal-e-dil apna bayan karne ki KHwahish hai magar

    kuchh tawajjoh aap ki mabzul ho jae to phir

    Source :
    • Book : Seepiyon Ki Qaid men
    • Author : Yaqoob Tasawwur
    • Publication : Yaqoob Tasawwur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now