ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai
rū-ba-rū haiñ vo dekhtā kyā hai
hāl-e-dil kah de sochtā kyā hai
hai vafā dil meñ yā jafā kyā hai
saaf kahiye ki mājrā kyā hai
un ko bhūle hue zamāna huā
phir ye pahlū meñ dard sā kyā hai
haiñ bhikārī sabhī tire dar ke
shaah kyā chiiz hai gadā kyā hai
merī rusvā.ī-e-jahāñ ke sivā
terī shohrat meñ aur kyā kyā hai
aabrū dard-e-dil kī baḌh jaa.e
jab vo pūchheñ tumheñ huā kyā hai
un kī āñkhoñ meñ jhāñk kar dekhūñ
merī taqdīr meñ likhā kyā hai
ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai
haal-e-dil kah de sochta kya hai
hai wafa dil mein ya jafa kya hai
saf kahiye ki majra kya hai
un ko bhule hue zamana hua
phir ye pahlu mein dard sa kya hai
hain bhikari sabhi tere dar ke
shah kya chiz hai gada kya hai
meri ruswai-e-jahan ke siwa
teri shohrat mein aur kya kya hai
aabru dard-e-dil ki baDh jae
jab wo puchhen tumhein hua kya hai
un ki aankhon mein jhank kar dekhun
meri taqdir mein likha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.