Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ru-ba-ru sab hain koi gosh-bar-awaz nahin

Athar Ziai

ru-ba-ru sab hain koi gosh-bar-awaz nahin

Athar Ziai

MORE BYAthar Ziai

    rū-ba-rū sab haiñ koī gosh-bar-āvāz nahīñ

    ye vo anjām hai jis abhī āġhāz nahīñ

    arsa-e-hashr hai yārab ki hai bazm-e-gītī

    kisī āvāz meñ shāmil koī āvāz nahīñ

    vaqt mujh ko nazar-andāz nahīñ kar saktā

    maiñ abhī vaqt ke aage sipar-andāz nahīñ

    dil-e-har-zarra dhaḌkan meñ samak tā-ba-samā

    bāzgasht us hai jis koī āvāz nahīñ

    kyā yahī shahr-e-mohabbat hai jahāñ mere liye

    ik āġhosh nahīñ ek bhī dar baaz nahīñ

    sāz-e-hastī ke pas-e-parda ba-andāz-e-kashish

    koī āhañg koī lai koī āvāz nahīñ

    ruuh masrūf-e-pazīrā.ī hai kis 'at.har'

    koī aahaT koī dastak koī āvāz nahīñ

    ru-ba-ru sab hain koi gosh-bar-awaz nahin

    ye wo anjam hai jis ka abhi aaghaz nahin

    arsa-e-hashr hai yarab ki hai bazm-e-giti

    kisi aawaz mein shamil koi aawaz nahin

    waqt mujh ko nazar-andaz nahin kar sakta

    main abhi waqt ke aage sipar-andaz nahin

    dil-e-har-zarra ki dhaDkan mein samak ta-ba-sama

    bazgasht us ki hai jis ki koi aawaz nahin

    kya yahi shahr-e-mohabbat hai jahan mere liye

    wa ek aaghosh nahin ek bhi dar baz nahin

    saz-e-hasti ke pas-e-parda ba-andaz-e-kashish

    koi aahang koi lai koi aawaz nahin

    ruh masruf-e-pazirai hai kis ki 'athar'

    koi aahaT koi dastak koi aawaz nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now