ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab
rū-ba-rū sīna-ba-sīna pā-ba-pā aur lab-ba-lab
nāchtī shab meñ barahna ho ga.e kyuuñ sab ke sab
ḳhud-kushī kar lī bhare gulshan meñ jis ne be-sabab
maiñ ne sīkhā hai usī hamrāz se jiine kā Dhab
hañste hañste ruuh kī āvāz pāgal ho ga.ī
gumbadoñ kī ḳhāmushī ne der tak khole na lab
pī rahe haiñ ḳhushnumā shīshoñ meñ log apnā lahū
aur kyā hogā anokhe rañg kā jashn-e-tarab
ai mohabbat ab to lauTā de mire sajde mujhe
marte dam tak zindagī kartī rahī terā adab
laash sūraj kī siyah kamre meñ thī laTkī huī
mere ghar kā qufl kholā shab kī tanhā.ī ne jab
'prem' terī shā.erī hai yā muqaddas jū-e-shīr
tīsha-e-taḳhlīq jis se daad kartā hai talab
ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab
nachti shab mein barahna ho gae kyun sab ke sab
KHud-kushi kar li bhare gulshan mein jis ne be-sabab
main ne sikha hai usi hamraaz se jine ka Dhab
hanste hanste ruh ki aawaz pagal ho gai
gumbadon ki KHamushi ne der tak khole na lab
pi rahe hain KHushnuma shishon mein log apna lahu
aur kya hoga anokhe rang ka jashn-e-tarab
ai mohabbat ab to lauTa de mere sajde mujhe
marte dam tak zindagi karti rahi tera adab
lash suraj ki siyah kamre mein thi laTki hui
mere ghar ka qufl khola shab ki tanhai ne jab
'prem' teri shaeri hai ya muqaddas ju-e-shir
tisha-e-taKHliq jis se dad karta hai talab
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 168)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.