ru-ba-ru tere bahut der biThaya gaya main
rū-ba-rū tere bahut der biThāyā gayā maiñ
vajd meñ aayā nahīñ vajd meñ laayā gayā maiñ
silsila ḳhatm na hogā ye dil-āzārī kā
is se pahle bhī ka.ī baar manāyā gayā maiñ
yuuñ lagā sab ne gavāhī dī ki tū merā hai
jab tire naam se bastī meñ satāyā gayā maiñ
jab jab asrār mirī zaat ke khulne se rahe
chheḌ kar zikr tirā vajd meñ laayā gayā maiñ
mujh se raste meñ Thaharne kī aziyyat pūchho
Thokareñ maar ke raste se haTāyā gayā maiñ
ru-ba-ru tere bahut der biThaya gaya main
wajd mein aaya nahin wajd mein laya gaya main
silsila KHatm na hoga ye dil-azari ka
is se pahle bhi kai bar manaya gaya main
yun laga sab ne gawahi di ki tu mera hai
jab tere nam se basti mein sataya gaya main
jab jab asrar meri zat ke khulne se rahe
chheD kar zikr tera wajd mein laya gaya main
mujh se raste mein Thaharne ki aziyyat puchho
Thokaren mar ke raste se haTaya gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.