ru-e-KHandan rag-e-jaan dida-e-giryan jaise
rū-e-ḳhandāñ rag-e-jāñ dīda-e-giryāñ jaise
qafas-e-rañg hai ye ālam-e-imkāñ jaise
nashsha-e-sher uḌaa.e liye jaatā hai mujhe
jaise rahvār-e-sabā taḳht-e-sulaimāñ jaise
aarzū hī se hai hañgāma-e-ālam saarā
aarzū hī se hai dil tiflak-e-nādāñ jaise
aañch bhī aatī hai ḳhush-pairahnī se aksar
kahīñ roīdagī-e-sho.ala ho pinhāñ jaise
shām-e-tanhā.ī kalīd-e-dar-e-nazzārā hai
jaise mizhgān-e-siyah abru-e-jānāñ jaise
harf-e-sāda varaq-e-nam suḳhan-e-ḳhud-rafta
dil hai yā mīr-taqī-'mīr' kā dīvāñ jaise
be-ravā be-sar-o-pā ek alam-nāk sadā
zindagī qāfila-e-shām-e-ġharībāñ jaise
būḌhe bargad ke tale soch meñ gum mard-e-faqīr
aane vaalā hai kahīñ se koī tūfāñ jaise
ru-e-KHandan rag-e-jaan dida-e-giryan jaise
qafas-e-rang hai ye aalam-e-imkan jaise
nashsha-e-sher uDae liye jata hai mujhe
jaise rahwar-e-saba taKHt-e-sulaiman jaise
aarzu hi se hai hangama-e-alam sara
aarzu hi se hai dil tiflak-e-nadan jaise
aanch bhi aati hai KHush-pairahni se aksar
kahin roidagi-e-shoala ho pinhan jaise
sham-e-tanhai kalid-e-dar-e-nazzara hai
jaise mizhgan-e-siyah abru-e-jaanan jaise
harf-e-sada waraq-e-nam suKHan-e-KHud-rafta
dil hai ya mir-taqi-'mir' ka diwan jaise
be-rawa be-sar-o-pa ek alam-nak sada
zindagi qafila-e-sham-e-ghariban jaise
buDhe bargad ke tale soch mein gum mard-e-faqir
aane wala hai kahin se koi tufan jaise
- Book : Qafas-e-Rang (Pg. 21)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.