ru-e-raushan ki tab ne mara
rū-e-raushan kī taab ne maarā
ik nikharte gulāb ne maarā
kuchh to maare ga.e nigāhoñ se
bāqiyoñ ko naqāb ne maarā
saarā din yaad ne Dasā un kī
raat aa.ī to ḳhvāb ne maarā
le ke qāsid jo lauTā kuchh purze
aise ḳhat ke javāb ne maarā
mar gayā zahr pī ke ik mai-nosh
log samjhe sharāb ne maarā
kuchh jahāñ meñ na kar sakā 'yāsir'
fikr-e-roz-e-hisāb ne maarā
ru-e-raushan ki tab ne mara
ek nikharte gulab ne mara
kuchh to mare gae nigahon se
baqiyon ko naqab ne mara
sara din yaad ne Dasa un ki
raat aai to KHwab ne mara
le ke qasid jo lauTa kuchh purze
aise KHat ke jawab ne mara
mar gaya zahr pi ke ek mai-nosh
log samjhe sharab ne mara
kuchh jahan mein na kar saka 'yasir'
fikr-e-roz-e-hisab ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.