rudad-e-gham ki jab se shohrat si ho gai hai
rūdād-e-ġham kī jab se shohrat sī ho ga.ī hai
rangīnī-e-jahāñ se vahshat sī ho ga.ī hai
tevar batā rahe haiñ andāz be-ruḳhī ke
un ko jafā se shāyad raġhbat sī ho ga.ī hai
nāhaq uThā rahe ho tūfāñ tajalliyoñ ke
zauq-e-nazar ko mere ġhaflat sī ho ga.ī hai
mahsūs kar rahā huuñ tār-e-nafas meñ tezī
kuchh iztirāb-e-ġham meñ shiddat sī ho ga.ī hai
matlab nahīñ karam se be-mehriyoñ kā ġham kyā
sabr-o-razā se ab to ulfat sī ho ga.ī hai
tāroñ kī anjuman meñ mahv-e-ḳhayāl ho kar
rātoñ ko jāgne kī aadat sī ho ga.ī hai
dil bujh chukā hai 'bāsit' baaqī nahīñ tamanna
ab zindagī se mujh ko nafrat sī ho ga.ī hai
rudad-e-gham ki jab se shohrat si ho gai hai
rangini-e-jahan se wahshat si ho gai hai
tewar bata rahe hain andaz be-ruKHi ke
un ko jafa se shayad raghbat si ho gai hai
nahaq uTha rahe ho tufan tajalliyon ke
zauq-e-nazar ko mere ghaflat si ho gai hai
mahsus kar raha hun tar-e-nafas mein tezi
kuchh iztirab-e-gham mein shiddat si ho gai hai
matlab nahin karam se be-mehriyon ka gham kya
sabr-o-raza se ab to ulfat si ho gai hai
taron ki anjuman mein mahw-e-KHayal ho kar
raaton ko jagne ki aadat si ho gai hai
dil bujh chuka hai 'basit' baqi nahin tamanna
ab zindagi se mujh ko nafrat si ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.