ruh-e-KHwabida tujhe phir se jagaya jae
rūh-e-ḳhvābīda tujhe phir se jagāyā jaa.e
hashr se pahle agar hashr uThāyā jaa.e
ho atā pahle mujhe sūrat-e-abjad honā
phir ye tajsīm kā ehsās jagāyā jaa.e
pairahan gul-rutoñ ke jab bhī sañvāre jaa.eñ
ek pal fasl-e-darīda ko dikhāyā jaa.e
ek tū hī mirī ḳhushiyoñ meñ rahā hai shāmil
aa zarā dard meñ bhī hissa baTāyā jaa.e
chhoḌ de fikr zamāne kī ghaḌī-bhar 'momī'
apne allah pe tavakkul ko baḌhāyā jaa.e
ruh-e-KHwabida tujhe phir se jagaya jae
hashr se pahle agar hashr uThaya jae
ho ata pahle mujhe surat-e-abjad hona
phir ye tajsim ka ehsas jagaya jae
pairahan gul-ruton ke jab bhi sanware jaen
ek pal fasl-e-darida ko dikhaya jae
ek tu hi meri KHushiyon mein raha hai shamil
aa zara dard mein bhi hissa baTaya jae
chhoD de fikr zamane ki ghaDi-bhar 'momi'
apne allah pe tawakkul ko baDhaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.