ruh gar nauha-kunan ho to ghazal hoti hai
ruuh gar nauha-kunāñ ho to ġhazal hotī hai
dil ko ehsās-e-ziyāñ ho to ġhazal hotī hai
mahfil-e-māh-vashāñ meñ to ġhazal ho na sakī
bazm-e-āshufta-sarāñ ho to ġhazal hotī hai
sirf āñkhoñ meñ namī se na banegī koī baat
ek dariyā sā ravāñ ho to ġhazal hotī hai
maiñ ne mahsūs kiyā hai ki kisī kī vo nazar
merī jānib nigarāñ ho to ġhazal hotī hai
dhīme dhīme se sulagte hue jazbāt ke saath
'mīr' kā tarz-e-bayāñ ho to ġhazal hotī hai
ruh gar nauha-kunan ho to ghazal hoti hai
dil ko ehsas-e-ziyan ho to ghazal hoti hai
mahfil-e-mah-washan mein to ghazal ho na saki
bazm-e-ashufta-saran ho to ghazal hoti hai
sirf aankhon mein nami se na banegi koi baat
ek dariya sa rawan ho to ghazal hoti hai
main ne mahsus kiya hai ki kisi ki wo nazar
meri jaanib nigaran ho to ghazal hoti hai
dhime dhime se sulagte hue jazbaat ke sath
'mir' ka tarz-e-bayan ho to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.