ruh jaise kisi badan ki tarah
ruuh jaise kisī badan kī tarah
aur badan us pe pairahan kī tarah
us kī āñkhoñ kī yaad aatī hai
mujh ko chhūTe hue vatan kī tarah
ham haiñ mahrūm rang-o-ḳhushbū se
ya.anī tanhā ujāḌ-ban kī tarah
ham ne duniyā tamām dekhī hai
kuchh nahīñ us ke bhole-pan kī tarah
zindagī har qadam ghanā jangal
ham haiñ bhaTke hue hiran kī tarah
ham haiñ us Thor zindagī meñ jahāñ
har dukhan hai hameñ suḳhan kī tarah
ruh jaise kisi badan ki tarah
aur badan us pe pairahan ki tarah
us ki aankhon ki yaad aati hai
mujh ko chhuTe hue watan ki tarah
hum hain mahrum rang-o-KHushbu se
yani tanha ujaD-ban ki tarah
hum ne duniya tamam dekhi hai
kuchh nahin us ke bhole-pan ki tarah
zindagi har qadam ghana jangal
hum hain bhaTke hue hiran ki tarah
hum hain us Thor zindagi mein jahan
har dukhan hai hamein suKHan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.