ruh kaghaz kalam KHushbu hai
ruuh kāġhaz kalām ḳhushbū hai
kyā numāyāñ payām ḳhushbū hai
hai tumhāre ḳhamīr kī ḳhushbū
tum jo kahte ho aam ḳhushbū hai
ham se tohfe meñ phuul kyuuñ kar le
us kā to apnā naam ḳhushbū hai
phuul mausam kī nazar ho ga.e sab
jis ne paayā davām ḳhushbū hai
koī mere qarīb aayā hai
kyuuñ na bhejūñ salām ḳhushbū hai
nisbateñ aap ke pasīne se
kitnī ālī-maqām ḳhushbū hai
baat āġhāz phuul se hogī
baat kā iḳhtitām ḳhushbū hai
ruh kaghaz kalam KHushbu hai
kya numayan payam KHushbu hai
hai tumhaare KHamir ki KHushbu
tum jo kahte ho aam KHushbu hai
hum se tohfe mein phul kyun kar le
us ka to apna nam KHushbu hai
phul mausam ki nazar ho gae sab
jis ne paya dawam KHushbu hai
koi mere qarib aaya hai
kyun na bhejun salam KHushbu hai
nisbaten aap ke pasine se
kitni aali-maqam KHushbu hai
baat aaghaz phul se hogi
baat ka iKHtitam KHushbu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.