ruh ke daman se apni duniya-dari bandh kar
ruuh ke dāman se apnī duniyā-dārī bāñdh kar
chal rahe haiñ dam-ba-dam āñkhoñ pe paTTī bāñdh kar
ye kahānī ek aise sar-phire mausam kī hai
ḳhushk pattoñ se jo le aayā thā āñdhī bāñdh kar
haq agar koī numū kā thā to vo us ne adā
kar diyā hai bādaloñ se ābyārī bāñdh kar
sub.h hotī hai to kunj-e-ḳhush-gumānī meñ kahīñ
pheñk dī jaatī hai shab bhar kī siyāhī bāñdh kar
ai mire dariyā agar koī bharosa ho tirā
chhoḌ jā.ūñ maiñ tirī lahroñ se kashtī bāñdh kar
gaam uThte hī safar ne paaT dī saarī ḳhalīj
rah-ravī ne Daal dī ik samt duurī bāñdh kar
maiñ sarāsar ek andesha huuñ naqs-e-amn kā
mujh ko rakhtā hai lihāzā merā qaidī bāñdh kar
ijz-goī par paḌāv Daal detī hai mirī
lafz-yābī mānaviyat se hai titlī bāñdh kar
khil rahe haiñ sar-zamīn-e-dil pe jazboñ ke gulāb
uḌ rahī hai aaj ḳhushbū ḳhud se titlī bāñdh kar
jaane siine meñ bikā.ū shai hai kyā jis ke liye
dauḌtī phirtī haiñ sāñseñ rez-gārī bāñdh kar
vā hue hote darīche aaj imkānāt ke
gar na rakh detī hameñ apnī masā.ī bāñdh kar
ruh ke daman se apni duniya-dari bandh kar
chal rahe hain dam-ba-dam aankhon pe paTTi bandh kar
ye kahani ek aise sar-phire mausam ki hai
KHushk patton se jo le aaya tha aandhi bandh kar
haq agar koi numu ka tha to wo us ne ada
kar diya hai baadalon se aabyari bandh kar
subh hoti hai to kunj-e-KHush-gumani mein kahin
phenk di jati hai shab bhar ki siyahi bandh kar
ai mere dariya agar koi bharosa ho tera
chhoD jaun main teri lahron se kashti bandh kar
gam uThte hi safar ne paT di sari KHalij
rah-rawi ne Dal di ek samt duri bandh kar
main sarasar ek andesha hun naqs-e-amn ka
mujh ko rakhta hai lihaza mera qaidi bandh kar
ijz-goi par paDaw Dal deti hai meri
lafz-yabi manawiyat se hai titli bandh kar
khil rahe hain sar-zamin-e-dil pe jazbon ke gulab
uD rahi hai aaj KHushbu KHud se titli bandh kar
jaane sine mein bikau shai hai kya jis ke liye
dauDti phirti hain sansen rez-gari bandh kar
wa hue hote dariche aaj imkanat ke
gar na rakh deti hamein apni masai bandh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.