ruh ke jaane ki qalib se koi muddat nahin
ruuh ke jaane kī qālib se koī muddat nahīñ
sabr kar ai dil tujhe kyā sabr kī tāqat nahīñ
kyā mirī betābī-e-dil bā.is-e-vahshat nahīñ
ye ḳhalish pahlū kī mere monis-e-ġhurbat nahīñ
dil nahīñ hai vo nahīñ hai ishq kā jis meñ guzar
vo bhī koī aañkh hai jis aañkh meñ hasrat nahīñ
koī ḳhvāhāñ sīm-o-zar kā koī tālib taḳht kā
mere aage faqr se behtar koī daulat nahīñ
aao baiTho shauq se ḳhud ko chhupā kar dil meñ tum
is se behtar do-jahāñ meñ gosha-e-uzlat nahīñ
ḳhulq himmat aur muravvat haiñ sharaf insān ke
vo kabhī insāñ nahīñ hai jis meñ ye hālat nahīñ
ḳhūn-e-dil piitā hai aur khātā hai vo laḳht-e-jigar
āb-o-dāna kī tire bīmār ko hājat nahīñ
le ke dil merā dam-e-ruḳhsat vo ye kahne lage
ḳhil.at-e-tahsīñ se behtar koī bhī ḳhil.at nahīñ
ai 'jamīla' sūrat-e-tasvīr maiñ ḳhāmosh huuñ
zo.af had se baḌh gayā nāloñ kī ab qudrat nahīñ
ruh ke jaane ki qalib se koi muddat nahin
sabr kar ai dil tujhe kya sabr ki taqat nahin
kya meri betabi-e-dil bais-e-wahshat nahin
ye KHalish pahlu ki mere monis-e-ghurbat nahin
dil nahin hai wo nahin hai ishq ka jis mein guzar
wo bhi koi aankh hai jis aankh mein hasrat nahin
koi KHwahan sim-o-zar ka koi talib taKHt ka
mere aage faqr se behtar koi daulat nahin
aao baiTho shauq se KHud ko chhupa kar dil mein tum
is se behtar do-jahan mein gosha-e-uzlat nahin
KHulq himmat aur murawwat hain sharaf insan ke
wo kabhi insan nahin hai jis mein ye haalat nahin
KHun-e-dil pita hai aur khata hai wo laKHt-e-jigar
aab-o-dana ki tere bimar ko hajat nahin
le ke dil mera dam-e-ruKHsat wo ye kahne lage
KHilat-e-tahsin se behtar koi bhi KHilat nahin
ai 'jamila' surat-e-taswir main KHamosh hun
zoaf had se baDh gaya nalon ki ab qudrat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.