ruh ke us chhor tak honTon ka ye til jaega
ruuh ke us chhor tak hoñToñ kā ye til jā.egā
saath chal kar ab mire merā hī qātil jā.egā
aa ke din meñ kyā karoge raat meñ aanā kabhī
tīrgī se aap ko merā pata mil jā.egā
jab se vo niklā nahīñ puurā chaman hai muntazir
maiñ gar us ke saath huuñ puurā chaman khil jā.egā
mujh ko samjhāte raheñge log āḳhir kab talak
kaise bach kar maiñ rahūñ varna to ye dil jā.egā
dostoñ ne kis liye mujh par kiyā itnā karam
itnā gahrā ghaav hai kyā ḳhud-ba-ḳhud sil jā.egā
ruh ke us chhor tak honTon ka ye til jaega
sath chal kar ab mere mera hi qatil jaega
aa ke din mein kya karoge raat mein aana kabhi
tirgi se aap ko mera pata mil jaega
jab se wo nikla nahin pura chaman hai muntazir
main gar us ke sath hun pura chaman khil jaega
mujh ko samjhate rahenge log aaKHir kab talak
kaise bach kar main rahun warna to ye dil jaega
doston ne kis liye mujh par kiya itna karam
itna gahra ghaw hai kya KHud-ba-KHud sil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.