Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ke zaKHm bhar raha hai kaun

Azm Shakri

ruh ke zaKHm bhar raha hai kaun

Azm Shakri

MORE BYAzm Shakri

    ruuh ke zaḳhm bhar rahā hai kaun

    mere andar utar rahā hai kaun

    maiñ to zinda huuñ apne lahje meñ

    lamha lamha ye mar rahā hai kaun

    log shīsha-sifat nahīñ haiñ magar

    reza reza bikhar rahā hai kaun

    pattharoñ ke kaleje phaTne lage

    sub.h-dam aah bhar rahā hai kaun

    sab charāġhoñ ke sar salāmat haiñ

    phir añdheroñ se Dar rahā hai kaun

    dahriye sirf itnā batlā deñ

    rañg phūloñ meñ bhar rahā hai kaun

    ruh ke zaKHm bhar raha hai kaun

    mere andar utar raha hai kaun

    main to zinda hun apne lahje mein

    lamha lamha ye mar raha hai kaun

    log shisha-sifat nahin hain magar

    reza reza bikhar raha hai kaun

    pattharon ke kaleje phaTne lage

    subh-dam aah bhar raha hai kaun

    sab charaghon ke sar salamat hain

    phir andheron se Dar raha hai kaun

    dahriye sirf itna batla den

    rang phulon mein bhar raha hai kaun

    Source :
    • Book : Surkhab (Pg. 70)
    • Author : Azm Shakri
    • Publication : Aiwan-e-adab Publishers (2008)
    • Edition : 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now