ruh ke zaKHm ko lazim hai nihan ho jaana
ruuh ke zaḳhm ko lāzim hai nihāñ ho jaanā
ġhair-mumkin hai us ik shai kā bayāñ ho jaanā
ḳhuun de kar bhī unheñ kaise bachāyā jaatā
jin charāġhoñ kā muqaddar thā dhuāñ ho jaanā
dekhtā rah gayā vīrāna-e-hastī meñ koī
apne zaḳhmoñ kā bahārāñ kī zabāñ ho jaanā
chalnā paḌtā hai har ik raah meñ ik umr 'tarāz'
itnā āsāñ nahīñ manzil kā nishāñ ho jaanā
ruh ke zaKHm ko lazim hai nihan ho jaana
ghair-mumkin hai us ek shai ka bayan ho jaana
KHun de kar bhi unhen kaise bachaya jata
jin charaghon ka muqaddar tha dhuan ho jaana
dekhta rah gaya virana-e-hasti mein koi
apne zaKHmon ka bahaaran ki zaban ho jaana
chalna paDta hai har ek rah mein ek umr 'taraaz'
itna aasan nahin manzil ka nishan ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.