ruh ko aaj naz hai apna waqar dekh kar
ruuh ko aaj naaz hai apnā vaqār dekh kar
us ne chaḌhā.īñ tevriyāñ merā qarār dekh kar
qasd-e-gila na thā magar hashr meñ josh-e-shauq se
haath mirā na ruk sakā dāman-e-yār dekh kar
dekh ke ek baar unheñ dil to haath dho chuke
dekhiye kyā guzartī hai dūsrī baar dekh kar
aate haiñ vo to pahle hī rañj se saaf ho rahūñ
aa ke kahīñ palaT na jaa.eñ dil meñ ġhubār dekh kar
ka.abe ko jā na 'shauq' abhī niyyat-e-zindagī ba-ḳhair
ham bhī chaleñge tere saath ab kī bahār dekh kar
vasl se guzre ai ḳhudā haañ ye shugūn chāhiye
sub.h ko ham uThā kareñ rū-e-nigār dekh kar
ruh ko aaj naz hai apna waqar dekh kar
us ne chaDhain tewriyan mera qarar dekh kar
qasd-e-gila na tha magar hashr mein josh-e-shauq se
hath mera na ruk saka daman-e-yar dekh kar
dekh ke ek bar unhen dil to hath dho chuke
dekhiye kya guzarti hai dusri bar dekh kar
aate hain wo to pahle hi ranj se saf ho rahun
aa ke kahin palaT na jaen dil mein ghubar dekh kar
kabe ko ja na 'shauq' abhi niyyat-e-zindagi ba-KHair
hum bhi chalenge tere sath ab ki bahaar dekh kar
wasl se guzre ai KHuda han ye shugun chahiye
subh ko hum uTha karen ru-e-nigar dekh kar
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 408)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.