ruh ko jagmagane ki koshish na ki zist ghaflat mein sari basar ho gai
ruh ko jagmagane ki koshish na ki zist ghaflat mein sari basar ho gai
Neelam Antulay
MORE BYNeelam Antulay
ruuh ko jagmagāne kī koshish na kī ziist ġhaflat meñ saarī basar ho ga.ī
raat din ho ga.e sab ke sab rā.egāñ merī hastī kidhar se kidhar ho ga.ī
mujh ko āvāz dete rahe roz-o-shab tere lutf-o-karam meñ ye aa paa.ī kab
tū nahīñ jab milā to huā ye ġhazab har tamannā-e-dil dar-ba-dar ho ga.ī
tujh ko paanā to yārab thā āsāñ bahut tujh ko paane kī koshish hī maiñ ne na kī
zindagī har qadam jaise ik bojh sī merī sāñsoñ kī raftār par ho ga.ī
is kahānī kī koī haqīqat nahīñ zindagānī kī koī haqīqat nahīñ
apne hone se vo bā-ḳhabar ho ga.e tere hone kī jin ko ḳhabar ho ga.ī
lab pe 'nīlam' ke har dam yahī hai duā aise bandoñ meñ rakhnā use bhī sadā
jin pe terī ināyat kā hai silsila terī rahmat kī jin par nazar ho ga.ī
ruh ko jagmagane ki koshish na ki zist ghaflat mein sari basar ho gai
raat din ho gae sab ke sab raegan meri hasti kidhar se kidhar ho gai
mujh ko aawaz dete rahe roz-o-shab tere lutf-o-karam mein ye aa pai kab
tu nahin jab mila to hua ye ghazab har tamanna-e-dil dar-ba-dar ho gai
tujh ko pana to yarab tha aasan bahut tujh ko pane ki koshish hi main ne na ki
zindagi har qadam jaise ek bojh si meri sanson ki raftar par ho gai
is kahani ki koi haqiqat nahin zindagani ki koi haqiqat nahin
apne hone se wo ba-KHabar ho gae tere hone ki jin ko KHabar ho gai
lab pe 'nilam' ke har dam yahi hai dua aise bandon mein rakhna use bhi sada
jin pe teri inayat ka hai silsila teri rahmat ki jin par nazar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.