ruh ko rahat hui gham dur sara ho gaya
ruh ko rahat hui gham dur sara ho gaya
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
ruuh ko rāhat huī ġham duur saarā ho gayā
kaun mere dil meñ yā-rab jalva-ārā ho gayā
jab judā mujh se vo merā māh-pāra ho gayā
raushnī jaatī rahī andher saarā ho gayā
rasm-o-rah aisī baḌhāo jis se sab āgāh hoñ
tum hamāre ho ga.e aur maiñ tumhārā ho gayā
maiñ jo kahtā thā ki mujh se zabt ho saktā nahīñ
raaz faash āḳhir tumhārā aur hamārā ho gayā
tīr-e-mizhgāñ us ne jab sīdhā kiyā merī taraf
dil mushabbak ho gayā siina do-pāra ho gayā
kyā lage dil qumrī-o-shamshād-o-gul kā baaġh meñ
un ko terī qāmat-o-ruḳh kā nazārā ho gayā
ruh ko rahat hui gham dur sara ho gaya
kaun mere dil mein ya-rab jalwa-ara ho gaya
jab juda mujh se wo mera mah-para ho gaya
raushni jati rahi andher sara ho gaya
rasm-o-rah aisi baDhao jis se sab aagah hon
tum hamare ho gae aur main tumhaara ho gaya
main jo kahta tha ki mujh se zabt ho sakta nahin
raaz fash aaKHir tumhaara aur hamara ho gaya
tir-e-mizhgan us ne jab sidha kiya meri taraf
dil mushabbak ho gaya sina do-para ho gaya
kya lage dil qumri-o-shamshad-o-gul ka bagh mein
un ko teri qamat-o-ruKH ka nazara ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.