ruh mein jab bhi mahakti hai sada-e-ehsas
ruuh meñ jab bhī mahaktī hai sadā-e-ehsās
lafz-tā-lafz Tapaktī hai sadā-e-ehsās
bār-hā ye bhī huā hai tire saa.e chhū kar
merī rag rag meñ dahaktī hai sadā-e-ehsās
ḳhatm ho jaatā hai jab bhī mire lafzoñ kā safar
mere andar hī bhaTaktī hai sadā-e-ehsās
lāDlī beTī hai zid kartī hai ro detī hai
god meñ jab bhī humaktī hai sadā-e-ehsās
apnī tanhā.ī pe jab mujh ko taras aatā hai
pyaar se mujh ko thapaktī hai sadā-e-ehsās
merī har saañs ko kartī hai suhāgan aksar
chūḌiyāñ ban ke khanaktī hai sadā-e-ehsās
mere andar kisī sūraj kā janam hotā hai
jab bhī jugnū sī chamaktī hai sadā-e-ehsās
tum ko ma.alūm agar ho to batā do mujh ko
kyoñ havāoñ meñ dhaḌaktī hai sadā-e-ehsās
kabhī aahaT kisī ḳhushbū kī mire dil ke qarīb
kabhī sāñsoñ meñ dahaktī hai sadā-e-ehsās
sarsarāte haiñ tirī ḳhushbū ke saa.e jab bhī
shāḳh-e-nāzuk sī lachaktī hai sadā-e-ehsās
rakh liyā naam tirā apne laboñ par maiñ ne
duur se kyoñ mujhe taktī hai sadā-e-ehsās
dhuup ne kaaT liye shahr ke sarsabz shajar
ab kahāñ jā ke chahaktī hai sadā-e-ehsās
chhūne lagtī hai jahāñ ḳhvāboñ kī bārish dil ko
sar se chunarī sī saraktī hai sadā-e-ehsās
baat karte haiñ mire kānoñ se jab bhī jhumke
kaisī chhan-chhan sī chhanaktī hai sadā-e-ehsās
aks paḌtā hai mahaktī huī kaliyoñ kā jahāñ
ta-e-iz.hār chaTaktī hai sadā-e-ehsās
itnā tanhā bhī to chhoḌā nahīñ maiñ ne us ko
ashk chhū chhū ke sisaktī hai sadā-e-ehsās
haath meñ saaz uThātī haiñ havā.eñ jab bhī
kaisī paa.el sī thiraktī hai sadā-e-ehsās
harf-e-iz.hār pe rakhtī huuñ use jab 'ūshā'
merī bindiyā sī damaktī hai sadā-e-ehsās
ruh mein jab bhi mahakti hai sada-e-ehsas
lafz-ta-lafz Tapakti hai sada-e-ehsas
bar-ha ye bhi hua hai tere sae chhu kar
meri rag rag mein dahakti hai sada-e-ehsas
KHatm ho jata hai jab bhi mere lafzon ka safar
mere andar hi bhaTakti hai sada-e-ehsas
laDli beTi hai zid karti hai ro deti hai
god mein jab bhi humakti hai sada-e-ehsas
apni tanhai pe jab mujh ko taras aata hai
pyar se mujh ko thapakti hai sada-e-ehsas
meri har sans ko karti hai suhagan aksar
chuDiyan ban ke khanakti hai sada-e-ehsas
mere andar kisi suraj ka janam hota hai
jab bhi jugnu si chamakti hai sada-e-ehsas
tum ko malum agar ho to bata do mujh ko
kyon hawaon mein dhaDakti hai sada-e-ehsas
kabhi aahaT kisi KHushbu ki mere dil ke qarib
kabhi sanson mein dahakti hai sada-e-ehsas
sarsaraate hain teri KHushbu ke sae jab bhi
shaKH-e-nazuk si lachakti hai sada-e-ehsas
rakh liya nam tera apne labon par main ne
dur se kyon mujhe takti hai sada-e-ehsas
dhup ne kaT liye shahr ke sarsabz shajar
ab kahan ja ke chahakti hai sada-e-ehsas
chhune lagti hai jahan KHwabon ki barish dil ko
sar se chunari si sarakti hai sada-e-ehsas
baat karte hain mere kanon se jab bhi jhumke
kaisi chhan-chhan si chhanakti hai sada-e-ehsas
aks paDta hai mahakti hui kaliyon ka jahan
ta-e-izhaar chaTakti hai sada-e-ehsas
itna tanha bhi to chhoDa nahin main ne us ko
ashk chhu chhu ke sisakti hai sada-e-ehsas
hath mein saz uThati hain hawaen jab bhi
kaisi pael si thirakti hai sada-e-ehsas
harf-e-izhaar pe rakhti hun use jab 'usha'
meri bindiya si damakti hai sada-e-ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.