ruh mein tazgi nahin qalb mein raushni nahin
ruuh meñ tāzgī nahīñ qalb meñ raushnī nahīñ
terī qasam tire baġhair zindagī zindagī nahīñ
tazkira-e-ḳhudā nahīñ silsila-e-ḳhudī nahīñ
ab maiñ vahāñ huuñ jis jagah mere sivā koī nahīñ
sajda-e-dost ke liye chāhiye jazb-e-be-ḳhudī
bandagī aur ba-qaid-e-hosh kufr hai bandagī nahīñ
sust qadam the mehr-o-māh rah ga.e misl-e-gard-e-rāh
manzil-e-ishq meñ mirā ham-safar ab koī nahīñ
zauq-e-talab hai hāsil-e-husn-e-tamām-e-kā.enāt
tālib-e-dīd bhī to ho javoñ kī kuchh kamī nahīñ
naġhma-e-dil pe jhūmnā pā-e-sanam ko chūmnā
zāhid-e-ḳhushk-tar abhī vāqif-e-bandagī nahīñ
'ārzū' dil ke saath saath hosh-o-ḳhirad bhī phūñk de
ishq meñ ārzū-e-ishq shān-e-qalandarī nahīñ
ruh mein tazgi nahin qalb mein raushni nahin
teri qasam tere baghair zindagi zindagi nahin
tazkira-e-KHuda nahin silsila-e-KHudi nahin
ab main wahan hun jis jagah mere siwa koi nahin
sajda-e-dost ke liye chahiye jazb-e-be-KHudi
bandagi aur ba-qaid-e-hosh kufr hai bandagi nahin
sust qadam the mehr-o-mah rah gae misl-e-gard-e-rah
manzil-e-ishq mein mera ham-safar ab koi nahin
zauq-e-talab hai hasil-e-husn-e-tamam-e-kaenat
talib-e-did bhi to ho jawon ki kuchh kami nahin
naghma-e-dil pe jhumna pa-e-sanam ko chumna
zahid-e-KHushk-tar abhi waqif-e-bandagi nahin
'arzu' dil ke sath sath hosh-o-KHirad bhi phunk de
ishq mein aarzu-e-ishq shan-e-qalandari nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.