ruh meri jis KHane mein hai us KHane ka kya hoga
ruuh mirī jis ḳhāne meñ hai us ḳhāne kā kyā hogā
maiñ to shahr chalā jā.ūñgā vīrāne kā kyā hogā
tere sar ko duniyā vāloñ ke kāñdhe mil jā.eñge
mere baare meñ bhī soch mire shāne kā kyā hogā
duniyā likhne vaale ne bas duniyā likh ke chhoḌ diyā
ab duniyā vaale socheñ is afsāne kā kyā hogā
maut hameñ vāpas le jā.egī ye bas ḳhush-fahmī hai
ham duniyā meñ aa to ga.e haiñ ghar jaane kā kyā hogā
ek parinda aisā bhī hai jo ye sochā kartā hai
jaal ke andar chhūT gayā jo us daane kā kyā hogā
maiñ to Thiik huuñ lekin mere andar jo ye 'rizvī' hai
aksar sochā kartā huuñ is dīvāne kā kyā hogā
aur ziyāda ḳhud par vahshat taarī mat kiije 'shahbāz'
duniyā jo tai kartī hai us paimāne kā kyā hogā
ruh meri jis KHane mein hai us KHane ka kya hoga
main to shahr chala jaunga virane ka kya hoga
tere sar ko duniya walon ke kandhe mil jaenge
mere bare mein bhi soch mere shane ka kya hoga
duniya likhne wale ne bas duniya likh ke chhoD diya
ab duniya wale sochen is afsane ka kya hoga
maut hamein wapas le jaegi ye bas KHush-fahmi hai
hum duniya mein aa to gae hain ghar jaane ka kya hoga
ek parinda aisa bhi hai jo ye socha karta hai
jal ke andar chhuT gaya jo us dane ka kya hoga
main to Thik hun lekin mere andar jo ye 'rizwi' hai
aksar socha karta hun is diwane ka kya hoga
aur ziyaada KHud par wahshat tari mat kije 'shahbaz'
duniya jo tai karti hai us paimane ka kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.