ruh tak aa ki mujhe us ka sahaara hai bahut
ruuh tak aa ki mujhe us kā sahārā hai bahut
jism mat chheḌ mujhe jism ne maarā hai bahut
chāñd kī kis ko talab hai ki yahāñ tārīkī
is qadar hai ki mujhe ek sitāra hai bahut
merī jānib se sadā aur sadā aur sadā
us kī jānib se faqat ek ishāra hai bahut
maiñ huuñ ḳhvāboñ kī havā tū hai haqīqat kā charāġh
paas hoñ donoñ to is meñ bhī ḳhasāra hai bahut
is kā ġham chhoḌ kahāñ kaise kaTī hijr meñ umr
vo ghaḌī soch jise saath guzārā hai bahut
tū mirā ḳhvāb hai sardī kī kisī raat kā ḳhvāb
sard hai jis meñ badan ruuh kā paara hai bahut
ruh tak aa ki mujhe us ka sahaara hai bahut
jism mat chheD mujhe jism ne mara hai bahut
chand ki kis ko talab hai ki yahan tariki
is qadar hai ki mujhe ek sitara hai bahut
meri jaanib se sada aur sada aur sada
us ki jaanib se faqat ek ishaara hai bahut
main hun KHwabon ki hawa tu hai haqiqat ka charagh
pas hon donon to is mein bhi KHasara hai bahut
is ka gham chhoD kahan kaise kaTi hijr mein umr
wo ghaDi soch jise sath guzara hai bahut
tu mera KHwab hai sardi ki kisi raat ka KHwab
sard hai jis mein badan ruh ka para hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.