ruh zaKHmi hai jism ghayal hai
ruuh zaḳhmī hai jism ghāyal hai
aap ke intizār kā pal hai
ġham hai donoñ kā zabt se bāhar
chhat pe maiñ huuñ aur ek bādal hai
mere maazī kī surḳh āñkhoñ meñ
merī mahrūmiyoñ kā kājal hai
rañj hai dard hai udāsī hai
zindagī har tarah mukammal hai
dil kahāñ hai 'charāġh' siine meñ
ek tūfān jaisī halchal hai
ruh zaKHmi hai jism ghayal hai
aap ke intizar ka pal hai
gham hai donon ka zabt se bahar
chhat pe main hun aur ek baadal hai
mere mazi ki surKH aankhon mein
meri mahrumiyon ka kajal hai
ranj hai dard hai udasi hai
zindagi har tarah mukammal hai
dil kahan hai 'charagh' sine mein
ek tufan jaisi halchal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.