rumal jo hum bhigo rahe hain
rūmāl jo ham bhigo rahe haiñ
āñkhoñ se malāl dho rahe haiñ
gum-gashta shanāḳht ke musāfir
hijrat kā ġhubār Dho rahe haiñ
ḳhvāhish ke ye sard-mehr lāshe
siine meñ hanūt ho rahe haiñ
ye suur hai dūsrī daf.a kā
aur log tamām so rahe haiñ
us ḳhvāb ko bā-vazū thā chhūnā
ham niiñd se haath dho rahe haiñ
kyoñ sub.h talāsh karte karte
ham raat kā husn kho rahe haiñ
yādoñ kā babūl Dhal chukā jab
ye kyā hai jo vo chubho rahe haiñ
rumal jo hum bhigo rahe hain
aankhon se malal dho rahe hain
gum-gashta shanaKHt ke musafir
hijrat ka ghubar Dho rahe hain
KHwahish ke ye sard-mehr lashe
sine mein hanut ho rahe hain
ye sur hai dusri dafa ka
aur log tamam so rahe hain
us KHwab ko ba-wazu tha chhuna
hum nind se hath dho rahe hain
kyon subh talash karte karte
hum raat ka husn kho rahe hain
yaadon ka babul Dhal chuka jab
ye kya hai jo wo chubho rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.