rup badlega phir us ka chhal aur bhi
ruup badlegā phir us kā chhal aur bhī
dekh ai dil sañbhal tū sañbhal aur bhī
daaġh aa.e nazar un ke dāman pe kyā
vo to laa.e haiñ gañgā se jal aur bhī
ḳhaak honā hī āshiq kī me.arāj hai
misl-e-parvāna pahle tū jal aur bhī
un kā bachnā samajh le tirī maut hai
haiñ sañpoloñ ke phan aur kuchal aur bhī
sirf sahrā nahīñ sabza-e-gul bhī haiñ
ārzūeñ javāñ hai to chal aur bhī
shauq-e-dīdār baḌhtā hī jaa.e 'qamar'
lan-tarānī tū sun kar machal aur bhī
rup badlega phir us ka chhal aur bhi
dekh ai dil sanbhal tu sanbhal aur bhi
dagh aae nazar un ke daman pe kya
wo to lae hain ganga se jal aur bhi
KHak hona hi aashiq ki mearaj hai
misl-e-parwana pahle tu jal aur bhi
un ka bachna samajh le teri maut hai
hain sanpolon ke phan aur kuchal aur bhi
sirf sahra nahin sabza-e-gul bhi hain
aarzuen jawan hai to chal aur bhi
shauq-e-didar baDhta hi jae 'qamar'
lan-tarani tu sun kar machal aur bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.