rup ke panw chumne wale sun le meri bani
ruup ke paañv chūmne vaale sun le merī baanī
phuul kī Daalī bahut hī ūñchī tū hai bahtā paanī
soñdhī soñdhī ḳhushbū ke bahte haiñ shītal jharne
khetoñ par lahrātā hai jab merā āñchal dhānī
tū merā ādarsh suhānā maiñ sapnoñ kī Daalī
hariyālī dhun terā merā daulat ānī-jānī
chāñd se māthe par haiñ gahrī soch kī tiin lakīreñ
bhuul ga.ī rasta in bhūl-bhulayyoñ meñ ik raanī
phail gayā hai qarya qarya terā rañg sunahrā
tū hai merā ruup saverā maiñ huuñ shaam suhānī
bai-rāgī ke ruup meñ mere dar par aane vaale
tere dil kī dhaḌkan lagtī hai jānī-pahchānī
kitnī ūñchī priit hai terī jantā ke rakhvāle
shaktī kā parchār karegī terī prem-divānī
rup ke panw chumne wale sun le meri bani
phul ki Dali bahut hi unchi tu hai bahta pani
sondhi sondhi KHushbu ke bahte hain shital jharne
kheton par lahraata hai jab mera aanchal dhani
tu mera aadarsh suhana main sapnon ki Dali
hariyali dhun tera mera daulat aani-jaani
chand se mathe par hain gahri soch ki tin lakiren
bhul gai rasta in bhul-bhulayyon mein ek rani
phail gaya hai qarya qarya tera rang sunahra
tu hai mera rup sawera main hun sham suhani
bai-ragi ke rup mein mere dar par aane wale
tere dil ki dhaDkan lagti hai jaani-pahchani
kitni unchi prit hai teri janta ke rakhwale
shakti ka parchaar karegi teri prem-diwani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.