rup sunahra aankh kanwal hai kya likkhun
ruup sunahrā aañkh kañval hai kyā likkhūñ
us kī ik-ik baat ġhazal hai kyā likkhūñ
maiñ ki dukh ke sahrāoñ meñ pyāsā huuñ
vo ki sukh kā gangā-jal hai kyā likkhūñ
maiñ ki har ik moḌ na.e dorāhe par
vo ki har uljhan kā hal hai kyā likkhūñ
soch rahā thā likh duuñ dil kī baat use
phir sochā dil to pāgal hai kyā likkhūñ
jis ko dekh ke vaqt kī nabzeñ ruk jaa.eñ
us kī aañkh meñ vo kājal hai kyā likkhūñ
shahr tire se niklā huuñ maiñ kuchh aise
āñkheñ nam haiñ aur daldal hai kyā likkhūñ
maiñ baiThā thā likhne apne ġham us ko
ashkoñ se kāġhaz jal-thal hai kyā likkhūñ
rūp-nagar meñ nuur sā jhilmil vo chehra
sundar shītal aur komal hai kyā likkhūñ
chāñd sitāre us ko dekh ke jalte haiñ
vo jagmag sā shīsh-mahal hai kyā likkhūñ
us ke lams ko baaġh kā baaġh tarastā hai
vo shādāb hai yā maḳhmal hai kyā likkhūñ
us ne qatl kiyā par kaun gavāhī de
saarī duniyā us ke val hai kyā likkhūñ
ek 'mubārak' vo na dil se duur rahe
baaqī to phir chal so chal hai kyā likkhūñ
rup sunahra aankh kanwal hai kya likkhun
us ki ik-ik baat ghazal hai kya likkhun
main ki dukh ke sahraon mein pyasa hun
wo ki sukh ka ganga-jal hai kya likkhun
main ki har ek moD nae dorahe par
wo ki har uljhan ka hal hai kya likkhun
soch raha tha likh dun dil ki baat use
phir socha dil to pagal hai kya likkhun
jis ko dekh ke waqt ki nabzen ruk jaen
us ki aankh mein wo kajal hai kya likkhun
shahr tere se nikla hun main kuchh aise
aankhen nam hain aur daldal hai kya likkhun
main baiTha tha likhne apne gham us ko
ashkon se kaghaz jal-thal hai kya likkhun
rup-nagar mein nur sa jhilmil wo chehra
sundar shital aur komal hai kya likkhun
chand sitare us ko dekh ke jalte hain
wo jagmag sa shish-mahal hai kya likkhun
us ke lams ko bagh ka bagh tarasta hai
wo shadab hai ya maKHmal hai kya likkhun
us ne qatl kiya par kaun gawahi de
sari duniya us ke wal hai kya likkhun
ek 'mubarak' wo na dil se dur rahe
baqi to phir chal so chal hai kya likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.