ruTh jaane ka hai ghurur mujhe
ruuTh jaane kā hai ġhurūr mujhe
jabki hāsil nahīñ 'ubūr mujhe
ik ġhazal aur jab likhī maiñ ne
ranj ne de diyā surūr mujhe
'ishq ke aa.ine pe maar ke sang
kar diyā us ne chūr-chūr mujhe
jitnā aatā rahā mire nazdīk
mujh se kartā rahā vo duur mujhe
aur phir tū ne kar liyā apnā
ek din ḳhud pe thā ġhurūr mujhe
tire ḳhurshīd se bhī baḌh kar hai
merī qindīl kā ye nuur mujhe
maiñ ne us ko bhulā diyā dil se
ab vo yaad aa.egā zarūr mujhe
terī āñkhoñ meñ kho na jā.ūñ 'naqī'
is adā se to tū na ghuur mujhe
ruTh jaane ka hai ghurur mujhe
jabki hasil nahin 'ubur mujhe
ek ghazal aur jab likhi main ne
ranj ne de diya surur mujhe
'ishq ke aaine pe mar ke sang
kar diya us ne chur-chur mujhe
jitna aata raha mere nazdik
mujh se karta raha wo dur mujhe
aur phir tu ne kar liya apna
ek din KHud pe tha ghurur mujhe
tere KHurshid se bhi baDh kar hai
meri qindil ka ye nur mujhe
main ne us ko bhula diya dil se
ab wo yaad aaega zarur mujhe
teri aankhon mein kho na jaun 'naqi'
is ada se to tu na ghur mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.