ruTh kar ek mah-ru kya meri mahfil se gaya
ruuTh kar ik māh-rū kyā merī mahfil se gayā
rang phūloñ se gayā naġhma anādil se gayā
naav yādoñ kī shafaq ke pāniyoñ meñ kho ga.ī
rafta rafta ye samāñ bhī chashm-e-sāhil se gayā
tīrgī sī chhā ga.ī bām-o-dar-e-ehsās par
kaun vaqt-e-shām uTh kar mahfil-e-dil se gayā
terī hastī se talātum thā mirī amvāj meñ
ab ye pech-o-ḳham bhī zulf-e-mauj-e-sāhil se gayā
kyā milā ai dil tujhe ishq-e-but-e-gulfām se
jām-e-jam kī justujū meñ kūza-e-gul se gayā
laash bhī sālim na chhoḌī kushtagān-e-ishq kī
ab ye sheva bhī nigāh-e-chashm-e-qātil se gayā
'shaiḳh' jī in mast āñkhoñ se raho kuchh duur duur
jo yahāñ tak aa gayā vo bach ke mushkil se gayā
ruTh kar ek mah-ru kya meri mahfil se gaya
rang phulon se gaya naghma anadil se gaya
naw yaadon ki shafaq ke paniyon mein kho gai
rafta rafta ye saman bhi chashm-e-sahil se gaya
tirgi si chha gai baam-o-dar-e-ehsas par
kaun waqt-e-sham uTh kar mahfil-e-dil se gaya
teri hasti se talatum tha meri amwaj mein
ab ye pech-o-KHam bhi zulf-e-mauj-e-sahil se gaya
kya mila ai dil tujhe ishq-e-but-e-gulfam se
jam-e-jam ki justuju mein kuza-e-gul se gaya
lash bhi salim na chhoDi kushtagan-e-ishq ki
ab ye shewa bhi nigah-e-chashm-e-qatil se gaya
'shaiKH' ji in mast aankhon se raho kuchh dur dur
jo yahan tak aa gaya wo bach ke mushkil se gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.