ruTh kar usne jataya bhi nahin
ruuTh kar us ne jatāyā bhī nahīñ
kyoñ hai vo barham batāyā bhī nahīñ
chal diyā vo bazm-e-mātam chhoḌ kar
hāl-e-dil apnā sunāyā bhī nahīñ
kyuuñ ḳhizāñ ne gher rakkhī hai bahār
panchhī koī chahchahāyā bhī nahīñ
un se milte hī maiñ patthar ho gayā
haath pakḌā aur dabāyā bhī nahīñ
ik ajab dorāhe par aa pahuñchā huuñ
vo nahīñ apnā parāyā bhī nahīñ
merī hālat ḳhushk dariyā jaisī thī
maiñ shajar thā laḌkhaḌāyā bhī nahīñ
ye mohabbat meñ hayā kī baat hai
paas soyā thā jagāyā bhī nahīñ
ruTh kar us ne jataya bhi nahin
kyon hai wo barham bataya bhi nahin
chal diya wo bazm-e-matam chhoD kar
haal-e-dil apna sunaya bhi nahin
kyun KHizan ne gher rakkhi hai bahaar
panchhi koi chahchahaya bhi nahin
un se milte hi main patthar ho gaya
hath pakDa aur dabaya bhi nahin
ek ajab dorahe par aa pahuncha hun
wo nahin apna paraya bhi nahin
meri haalat KHushk dariya jaisi thi
main shajar tha laDkhaDaya bhi nahin
ye mohabbat mein haya ki baat hai
pas soya tha jagaya bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.