ruThe hue lamhon ne kaisa bojh utara kamre se
rūThe hue lamhoñ ne kaisā bojh utārā kamre se
us kā ham se naatā TuuTā aur hamārā kamre se
ik ik shai meñ us ke lams kī garmī kā ye matlab hai
abhī talak vo gayā nahīñ saare kā saarā kamre se
barsoñ baa'd bhī ik sargoshī dīvāroñ meñ zinda thī
milā thā us ke baa'd bhī ham ko ek sahārā kamre se
ga.e dinoñ kī baat hai jab shahzādī ḳhushbū hotī thī
ik ḳhushbū ne haath pakaḌ kar use guzāra kamre se
ek ajab sīlan thī jis meñ roz mirā dam ghuTtā thā
hijr kā sūraj mat le jaanā yaar ḳhudārā kamre se
bahut dinoñ se us ne phuul nahīñ bheje to tang aa kar
shīshe kā gul-dān bhī gir ke aaj pukārā kamre se
ruThe hue lamhon ne kaisa bojh utara kamre se
us ka hum se nata TuTa aur hamara kamre se
ek ek shai mein us ke lams ki garmi ka ye matlab hai
abhi talak wo gaya nahin sare ka sara kamre se
barson ba'd bhi ek sargoshi diwaron mein zinda thi
mila tha us ke ba'd bhi hum ko ek sahaara kamre se
gae dinon ki baat hai jab shahzadi KHushbu hoti thi
ek KHushbu ne hath pakaD kar use guzara kamre se
ek ajab silan thi jis mein roz mera dam ghuTta tha
hijr ka suraj mat le jaana yar KHudara kamre se
bahut dinon se us ne phul nahin bheje to tang aa kar
shishe ka gul-dan bhi gir ke aaj pukara kamre se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.