Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruThe huon ko apne manane chale the hum

Khurshidul islam

ruThe huon ko apne manane chale the hum

Khurshidul islam

MORE BYKhurshidul islam

    rūThe huoñ ko apne manāne chale the ham

    bigḌī huī thī baat banāne chale the ham

    kyā kahiye āsmān thā vo zamīn thī

    jis par guloñ naqsh biThāne chale the ham

    dekhā unheñ qarīb se ham ne to ro diye

    jin bastiyoñ ko aag lagāne chale the ham

    duniyā ke naaz dekh ke hairān rah ga.e

    goyā usī ke naaz uThāne chale the ham

    vīrāniyoñ ne baḌh ke gale se lagā liyā

    le kar diloñ meñ kaise ḳhazāne chale the ham

    dekhā jo aap apne liye ġhair ho ga.e

    ġhairoñ ko aa.ina to dikhāne chale the ham

    ruThe huon ko apne manane chale the hum

    bigDi hui thi baat banane chale the hum

    kya kahiye aasman tha wo ya zamin thi

    jis par gulon ka naqsh biThane chale the hum

    dekha unhen qarib se hum ne to ro diye

    jin bastiyon ko aag lagane chale the hum

    duniya ke naz dekh ke hairan rah gae

    goya usi ke naz uThane chale the hum

    viraniyon ne baDh ke gale se laga liya

    le kar dilon mein kaise KHazane chale the hum

    dekha jo aap apne liye ghair ho gae

    ghairon ko aaina to dikhane chale the hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now