ruThi hui jabin ko manaya kisi tarah
ruThi hui jabin ko manaya kisi tarah
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
rūThī huī jabīñ ko manāyā kisī tarah
ik āstāñ pe sar ko jhukāyā kisī tarah
ġham kā nazar ne bhed na paayā kisī tarah
ye be-tukā hai raah par aaya kisī tarah
dāman butoñ kā dil se chhuḌāyā kisī tarah
armāñ ne baar ye bhī uThāyā kisī tarah
shikve rahe hijāb-e-ruḳh-e-nāz se bahut
āñkheñ milīñ to hosh na aaya kisī tarah
jis haal meñ huī thī mohabbat kī ibtidā
māhaul vo na lauT kar aaya kisī tarah
baaqī hai dil meñ sho.ala-e-ummīd kī jhalak
bujhne meñ ye charāġh na aaya kisī tarah
ham ne to bandagī meñ mohabbat ḳharīd lī
tum ne bhī koī qaul nibhāyā kisī tarah
qaid-e-qafas meñ manzar-e-gulshan to hai mudām
ik āshiyāñ hī raas na aaya kisī tarah
ḳhalvat kī bazm hī meñ rahā 'shād' bā-ḳhabar
shohrat ko rāhbar na banāyā kisī tarah
ruThi hui jabin ko manaya kisi tarah
ek aastan pe sar ko jhukaya kisi tarah
gham ka nazar ne bhed na paya kisi tarah
ye be-tuka hai rah par aaya kisi tarah
daman buton ka dil se chhuDaya kisi tarah
arman ne bar ye bhi uThaya kisi tarah
shikwe rahe hijab-e-ruKH-e-naz se bahut
aankhen milin to hosh na aaya kisi tarah
jis haal mein hui thi mohabbat ki ibtida
mahaul wo na lauT kar aaya kisi tarah
baqi hai dil mein shoala-e-ummid ki jhalak
bujhne mein ye charagh na aaya kisi tarah
hum ne to bandagi mein mohabbat KHarid li
tum ne bhi koi qaul nibhaya kisi tarah
qaid-e-qafas mein manzar-e-gulshan to hai mudam
ek aashiyan hi ras na aaya kisi tarah
KHalwat ki bazm hi mein raha 'shad' ba-KHabar
shohrat ko rahbar na banaya kisi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.