ruThna chaho to ab hargiz manane ka nahin
rūThnā chāho to ab hargiz manāne kā nahīñ
dil ko maa.il kar liyā aañsū bahāne kā nahīñ
rāste dhuñdlā ga.e haiñ raushnī vaalo suno
va.ada jalne kā kiyā thā TimTimāne kā nahīñ
kashtiyāñ mañjdhār meñ haiñ nāḳhudā nārāz haiñ
āsmānoñ se kaho bijlī girāne kā nahīñ
kab Dhalegī shām-e-ġham kab ḳhatm hogā zulm-o-jabr
zindagī insāñ kī hai unvāñ fasāne kā nahīñ
lo chale jaate haiñ ḳhālī haath duniyā se 'umīd'
yaad kar lenā azīzo bhuul jaane kā nahīñ
ruThna chaho to ab hargiz manane ka nahin
dil ko mail kar liya aansu bahane ka nahin
raste dhundla gae hain raushni walo suno
wada jalne ka kiya tha TimTimane ka nahin
kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda naraaz hain
aasmanon se kaho bijli girane ka nahin
kab Dhalegi sham-e-gham kab KHatm hoga zulm-o-jabr
zindagi insan ki hai unwan fasane ka nahin
lo chale jate hain KHali hath duniya se 'umid'
yaad kar lena azizo bhul jaane ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.