ruThoge be-sabab to manaya na jaega
ruThoge be-sabab to manaya na jaega
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi
MORE BYMunshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi
rūThoge be-sabab to manāyā na jā.egā
bejā tumhārā naaz uThāyā na jā.egā
vo saath laa.eñ ġhair ko gar bazm meñ to kyā
āñkhoñ pe minnatoñ se biThāyā na jā.egā
yuuñ mere saath bazm meñ ġhairoñ kā baiThnā
vo e'tirāz hai ki uThāyā na jā.egā
hogā asar jo dil meñ to ḳhud jaan leñge vo
'mushtāq' ham se ishq jatāyā na jā.egā
ruThoge be-sabab to manaya na jaega
beja tumhaara naz uThaya na jaega
wo sath laen ghair ko gar bazm mein to kya
aankhon pe minnaton se biThaya na jaega
yun mere sath bazm mein ghairon ka baiThna
wo e'tiraaz hai ki uThaya na jaega
hoga asar jo dil mein to KHud jaan lenge wo
'mushtaq' hum se ishq jataya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.