sa’at-e-hijr kaT gai ishq jawan ho gaya
sā’at-e-hijr kaT ga.ī 'ishq javān ho gayā
shahr meñ 'arse baa'd phir amn-o-amān ho gayā
jis ke baġhair ziist kā zehn meñ ḳhāka tak na thā
kaise vo shaḳhs yak-ba-yak vahm-o-gumān ho gayā
dil ke mu’āmalāt kī ham ko bhī thoḌī fahm hai
kyā kaheñ dosto yahāñ jaañ kā ziyān ho gayā
ham ko bhī faḳhr hai ki ham rakhte the apne sar pe chhat
koī makāñ milā na thā dard makān ho gayā
ek na.e safar pe ab honā hai ham ko gāmzan
paañv bhī laḌkhaḌā uThe rasta Dhalān ho gayā
sa’at-e-hijr kaT gai 'ishq jawan ho gaya
shahr mein 'arse ba'd phir amn-o-aman ho gaya
jis ke baghair zist ka zehn mein KHaka tak na tha
kaise wo shaKHs yak-ba-yak wahm-o-guman ho gaya
dil ke mu’amalat ki hum ko bhi thoDi fahm hai
kya kahen dosto yahan jaan ka ziyan ho gaya
hum ko bhi faKHr hai ki hum rakhte the apne sar pe chhat
koi makan mila na tha dard makan ho gaya
ek nae safar pe ab hona hai hum ko gamzan
panw bhi laDkhaDa uThe rasta Dhalan ho gaya
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 29)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.