saat-e-yak-nafas bhi bhaari hai
sā'at-e-yak-nafas bhī bhārī hai
aisī kuchh kaifiyat hamārī hai
ik ḳhalish hai jo kam nahīñ hotī
ik chubhan hai jo dil meñ jaarī hai
kis ko samjhā.eñ kaise samjhā.eñ
kyoñ tabī'at meñ sogvārī hai
parda-e-ashk-hā.e larzāñ par
jo bhī tasvīr hai tumhārī hai
ruuh meñ ghul gayā hai sannāTā
aur dil par sukūt taarī hai
aate aate hī aa.egā ārām
zaḳhm gahrā hai choT kaarī hai
lamha lamha masāfat-e-shab kā
ham ko ik ik sadī pe bhārī hai
ḳhushk āñkhoñ meñ jhāñk kar dekho
dil meñ mātam hanūz jaarī hai
jab se us ne 'adam kiyā ābād
suunī har anjuman hamārī hai
lazzateñ shab kī us ke saath ga.iiñ
ab faqat rasm-e-shab-guzārī hai
ab to mafhūm-e-zindagī 'bāsit'
ashk-rezī hai ashk-bārī hai
sa'at-e-yak-nafas bhi bhaari hai
aisi kuchh kaifiyat hamari hai
ek KHalish hai jo kam nahin hoti
ek chubhan hai jo dil mein jari hai
kis ko samjhaen kaise samjhaen
kyon tabi'at mein sogwari hai
parda-e-ashk-hae larzan par
jo bhi taswir hai tumhaari hai
ruh mein ghul gaya hai sannaTa
aur dil par sukut tari hai
aate aate hi aaega aaram
zaKHm gahra hai choT kari hai
lamha lamha masafat-e-shab ka
hum ko ek ek sadi pe bhaari hai
KHushk aankhon mein jhank kar dekho
dil mein matam hanuz jari hai
jab se us ne 'adam kiya aabaad
suni har anjuman hamari hai
lazzaten shab ki us ke sath gain
ab faqat rasm-e-shab-guzari hai
ab to mafhum-e-zindagi 'basit'
ashk-rezi hai ashk-bari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.